12/12/2020
Aj bat kartay hain proud of mianchannu kay us shehzaday ki jis nay aj say 3 sal pehlay tape ball cricket ko khair bad kaha yeh tape ball kay 2 aisay players thay jo intahi dilkash or khubsurat andaz say khailtay thay ground main enter hotay to poray sports man lgtay thay 2 naam gonjtay thay aik babba or 2sra fahad mianchannu un dinoun fahad bhaai ka accident hoa tha rest par thay par waseem babba jo keh us waqt apnay arooj par thay us waqt main tape ball ko khairbad kehna asan na tha par kaha or leather ball ki taraf apnay safar ka aghaz kia . Or ahista ahista apni manzil ki taraf rawaan dawaan hay achay players honay kay ilawa bht achay insan hain .dubai t10 leauge ka hissa bhi rahay or kal bhi dream 11 tournament main 100 runs score kiay jis main 9 sixes shamil hain sb bhaioun say guzarish hay bhaii kay liay fua karain or woh bht jald inshallaha uae ki taraf say action main nazar aien or mianchannu ka naam roshan karain